Thursday 27 November 2014

I miss my golden day's

Arz kiya h..
Ek hi color ka dress pehen kar hum lagte they kitne
achay,
School lagta tha poultry farm aur hum sab murghi k
bachay,..
.
.
Mujhko samaj na aya aj tak teacher ka ye funda,
Hume bana deti thi murgha or khud copy pe deti thi
anda..
.
.
Jab bachpan tha ,
to jawani ek dream tha.
Jab jawan huye ,
to bachpan ek jamaana tha..
.
.
jab ghar me rehte the,
aazadi achi lagti thi..
aaj aazadi he ,fir bhi
ghar jaane ki jaldi rahti hai,..
School me jinke saath
zagadte the ,
aaj unko hi Internet pe
talashte hai..
khushi kisme hoti hai,
ye pata ab chala hai...
bachpan kya tha,
iska ehsas ab hua hai..
kash badal sakte hum
zindgi k kuch saal ..
kash ji sakte hum,
zindgi fir se ek baar.....
I miss my golden day's




No comments:

Post a Comment